Ek Din Achanak Part 1
Aaj College
mein Fresher Day hai. Main aur mere dost bas tayyar ho rahe hain College jaane ke liye. Yun to hum
college kabhi time se nahin jaate lekin Fresher Day par sabki ragging karne
jaroor waqt se pehle pahuchna hota hai chahe dharti yahan se wahan kyun
na ho jaye.
Gharwale bhi
mujhe dekhkar hairan ho gaye ki Ravi aaj suraj kahan se ug gaya, Roz
10-11 baje uthne wala tu aaj 7 baje hi uth gaya. To maine kahan mummy aaj ek dost ke saath bahar jaana hai (yun
to keh
nahin sakta tha ki College jaldi jaana hai
class ke liye kyunki use sunke to unke hosh hi ud jaate. Unhone bhi
koyi khaas dhyaan nahin diya aur mera naasta table par laga diya.
Naasta
karke maine apne doston ko phone lagaya aur jaldi college pahuchne ke
liye kaha aur apni Motorcycle par nikal pada college ke liye. College
hamaara 9 baje shuru hota tha aur main 15 minutes pehle wahan
pahunch chuka tha. Itne mein maine dekha ki mere dost Jay, Pawan aur Sanju
teeno ek saath do motorcycle par aa rahe hain. Bas fir kya tha hum log tayyar ho
gaye Freshers ki ragging ke liye.
Ragging to
karne pahunch gaye lekin hamein ab bhi apne khaas do doston ka intezaar baaki tha. Khaas isliye
kyunki wo dono ladkiyan thi. (Aap samajh hi gaye honge) Intezaar karte karte 9:15 ho gaye
lekin wo nahin aayi. Idhar students bhi aane shuru ho gaye the kuch
seniors hamaari tarah ragging karne ke liye aur kuch freshers apni
ragging karwane ke liye. Maine kayi baar phone lagaya lekin unka phone nahin lag
raha tha.
Mujhe bahut
chinta hone lagi to maine Pawan ko bola yaar tu jaa kar dekh to
dono kahan reh gayi. Chinta unke naa aane ki nahin thi balki hamaara
ragging karne ka jo tareeka hai uske chaupat hone ki
thi. To Pawan
ne kaha theek hai wo chala jayega lekin use aaj shaam ko Riya
ke saath Movie dekhne aur dinner karne ka saara kharcha tujhe uthana hoga. Marta
kya na karta mujhe uski baat manni padi.
Lekin haye ri
meri kismat mujh par kaise meharbaan ho gayi ki wo mujhe saamne se
aati dikhai di. Maine dekha ki Pawan ka chehra unhen khaas kar ke Riya ko dekh
kar khilne ki bajay Shaam kharab hone ke ehsas se murjha gaya hai. Mujhe uska
chehra dekh kar hasi aa gayi aur maine kaha ki yaar kyun tension le raha hai.
Dono aa gayi hai to kya hua Ravi ka waada khali nahin jayega. Pawan meri
baat
sunke bahut khus ho gaya aur mujhe gale se laga liya.
Wo dono
akeli nahin aayi thi unke saath ek aur ladki bhi thi jise main nahin dekh
paya tha kyunki unke hamaare paas pahuchne ke dauran mujhe Cold Drinks and Some
Snacks lene jaana pada (Kya hai saara kharcha mujhe hi uthana padta hai sabka) Lekin jab
wapas
aaya to hairan reh gaya ki unke saath ek behad khubsoorat ladki khadi
hai. Mere pair wahi door rook gaye aur use dekhne lage. Pehle to maine socha ki koi fresher hai jise in logon ne
milkar ragging ke liye pakad liya hai lekin jis tarah se wo ladki hamaari
doston se
baat kar rahi thi usse pata chalta tha ki wo kaafi acchi tarah se ek
dusre ko jaanti hain.
Doston mein
pehle apne baare mein aur apne group ke baare mein aap logon ko
bata doon
1. Ravi: Mein Ravi, umar 22 saal, kad 5\'7" rang fair (Ab itna bhi nahin ki ladkiyan dekhte hi mar miten aur itna bhi bura nahin ki koi ghaas na dale), theek thak physique (kyunki roz shaam ko adha ghanta Jim mein paseena jo bahata hoon. Subah to sokar hi der se uththa hoon) Reaching in 3rd year. Father Ek bade Govt Afsar hai isliye paise ki koi chinta hi nahin hai aur mummy housewife hain
2. Jay: Jay ki umar 21
saal hai aur rang saanwla hai lekin padhne mein hamaare group mein sab se
hoshiyaar. Class mein sabse jyada
number usi ke aate hain. Apart from dosti use saath rakhne ka ek karan ye bhi
hai taaki wo hamaari exams mein help kar diya karta hai Father uske shopkeeper hain aur uski mummy bhi
housewife. Jyada paisa to nahin milta use pocket money ke liye lekin itna bhi
kam nahin hai ki wo apna kharcha na utha sake haan jyada faaltu kharch nahin
kar sakta.
3. Pawan: Pawan ki umar
bhi 22 saal hai aur wo mere saath tab se hai jab hum 6th class mein padhte the.
Main aur wo ek dusre ke humraaz hain. jaise do jism ek jaan (Galat mat samajhna aap log) matlab
bahut achhe dost hain. Uske parents ab is duniya mein nahin hai aur wo apne
mama ke paas rehta hai jo hamaare ghar ke ekdum paas hai. Isliye use kuch khaas
pocket money nahin milti aur uska
saara kharcha mujhe hi uthana padta hai. Wo Riya se aur Riya usse behad pyaar
karte hain. Aur ye affair 2 saalon se chal raha hai.
4. Sanju: Sanju ki umar 23 saal hai. Handsome, tall and flirt type ka banda hai. Shayad hi aisa hua ho ki koi ladki use pasand aayi ho aur wo uski dost na ban gayi ho. Uske Father aur mother dono service karte hain to mahashay ke paas poora time hai masti karne ke liye. Meri tarah use bhi paison ki koi kami nahin hai lekin saala bahut kanjoos hai. Ladkiyon par to hajaaron kharch kar deta hai lekin doston par kharch karne ke naam se saale ki jaan sookhti hai. Aisa nahin ki hamaare upar kharch nahin karta lekin bas haath rok rok kar kharch karta hai
5. Riya: Riya ki umar 20 saal, Medium Height, Fair colour, slim body, nice curves aur sabse attractive uski smile jiske karan hamaara Pawan uske pyaar mein giraftar ho gaya. Aur wo bhi Pawan ke hi karan hamaare college mein aayi warna to uske parents uska admission kisi bade college mein karwane wale the. Uske Father ek doctor hain aur mother housewife. Uski sister bhi hamaare group mein hai.
6. Diya: Riya ki sister ki umar 19 saal, Tall, slim and very cute face with sweet smile, colour very fair. Ab uska man to nahin tha is college mein admission mein lene ka lekin wo apni behan se bahut pyaar karti hai aur usse door hone ke dar se hi usne is college mein admission liya tha. Lekin mujhse milne ke baad aur hamaara group join karne ke baad use apne kiye ka koi pachtawa nahin hota
Jaisa
ki aap jaante hai ki Main aur Pawan bachpan se hi ek doosre ke
saath saath rahe hain. School aana-jaana khelna koodna, dopahar ka
lunch sab ek saath hi karte the.
School
mein hamaari dosti se jalne waale bhi kam nahin the. Hamaari class
mein Ram kumar naam ka kuch badmaash type ka ladka padhta tha jise hum sab dost
Rider keh kar pukarte the kyunki saala mootne bhi jaana ho to bagair motorcyle ke
jaata hi nahin tha. Ameer baap ki bigdi hui aulaad jo tha. Jo marzi mein
aaye wo
karna. Teacher ko kuch na samajhna.
Yahan
tak ki ek baar usne ek teacher ko kisi baat par thappad bhi maar
diya tha lekin uska kuch nahin hua kyunki sabke saamne usne us teacher par
aisa ghinona aarop laga diya tha jiske saamne sabko Rider ka kiya
dhara sahi lagne laga. Usne aarop lagaya ki wo teacher uski maa ke baare mein
ashlil baatein karta hai aur akele mein usse bhi gandi harkaten karta hai. Is
ghatna ke baad us teacher ka is school mein sar utha ke chalna mushkil ho
gaya aur wo is school ko chod kar hamesha ke liye chale gaye.
Uske saath hum
dono doston khaskar Pawan ki lagbhag roz hi jhadap ho jaya
karti thi. Kabhi class mein aage baithne ko lekar, kabhi teacher
ne koi test liya ho aur Pawan ne use na bataya ho to
us baat par
(Kyunki Teacher Roll no se sab ko baithta tha aur Rider ka Roll no
theek Pawan ke baad tha). Pawan ek bahut seedha saada banda hai. Wo
mere siwa kisi se baat nahin karta tha. Isliye Test mein bhi wo
Rider ki koi help nahin karta tha aur isi karan Rider usse jalta tha
par mere karan jyada kuch kar nahin pata tha.
Pawan mere ghar ke paas hi rehta
hai to Aata mere saath hi tha. Isliye Rider ko mauka nahin milta
tha kuch karne ke liye aur Pawan bhi ye baat achi tarah se jaanta tha isliye agar
kisi din main school nahin jaata tha to wo bhi koi na koi bahaana dhoond hi leta
tha School
na jaane ka.
Lekin honi ko kuch aur hi manjoor tha.
Ek Din achanak
mujhe teen chaar din ke liye apne parents ke saath Dusri city
jaana pada. Huya kuch aisa ki hamaare khaas relatives ke yahan kisi ki
shaadi thi to main mana bhi nahin kar paya. Mujhe Pawan ki bahut
chinta sata rahi thi ki mere bagair Rider uska kya haal karega
lekin main kuch nahin kar sakta tha.
Sabse
badi dukh ki baat ye hui ki achanak mujhe raat ko gharwalo
ne bataya
ki subah jaldi jaana hai out of station to main Pawan ko bata bhi nahin
paya apni absence ke baare mein. Maine kai bahane banaye uske
ghar jaane ke liye jaise Leave application deni hai to jawab mila ki
papa already class teacher se phone par baat kar chuke hain. Phir bahana
banaya ki meri kuch books and copy uske paas hai to mujhe yun dekhne lage
ki maine koi joke sunaya ho.
Main unhe dekhkar sharam se paani
paani ho gaya.
To sab milakar yeh hua ki main uske ghar nahin jaa saka aur subah 5:00 baje hum apni car mein baithkar nikal gaye. Maine subah bhi koshish karni chahi lekin phir socha ki sab soye honge is samay to jagana theek nahin hai. Phone unke ghar par tha nahin so phone bhi nahin kar paya
Agle
din Subah Pawan tayaar hokar mera wait karne laga ki kab mein aayun uske
ghar aur hum school jayen. Lekin main aayun to tab jab wahan hoyunga. Pawan mera
intezar karte karte late ho gaya aur mere ghar par aaya pata karne ke liye. Aakar dekha
to tala
laga huya hai to usne bagal wale ghar mein poocha to unhone bataya ki ek
shaadi mein wo out of station gaye hain aur 3-4 din mein aayenge.
Pawan ye sab sunkar udaas ho gaya
aur apne ghar wapas aa gaya. School ke liye late to ho hi gaya
so us din wo school nahin jaa paya. Uske ghar par maama-Maami ne poocha to tabiyat
kharaab hone ka bahana bana diya aur apne kamre mein jaakar baith gaya.
Poora
Din reh reh kar use meri yaad aati rahi aur aaye bhi kyun mera sabse
pyaara aur pakka dost tha. Bechara poore din bore hota raha kyunki
bimaari ke bahane ki wajah se wo TV bhi to nahin dekh sakta tha. Poora din kuch sone mein aur kuch
kitaabo mein sar ko khapakar
bitaya. Raat huyi to wo sab bhoolkar so gaya.
Agle din wohi
routine aur wo tayyar hokar mera intezaar karne laga lekin tabhi use
yaad aaya ki main to yahan hun nahin to use akele jaana padega.
Wo man masos kar school ke liye nikal pada. Raaste bhar bas wo
yehi dua karta raha ki Hey Bhagwan aaj Rider nahin aaye. Mera usse
saamna nahin ho. Wo bhi kahin bahar chala gaya ho.
Lekin jo hona hai wo to hokar hi rehta tha.
𝐆𝐞𝐞𝐭𝐚 𝐠𝐞𝐞𝐭 gт
27-Mar-2022 03:32 PM
पहला ही भाग बेहद इंट्सर्टिंग है👌👌स्कूल, कॉलेज की मस्ती, लव का ड्रामा 😂 सस्पेंस, रोमांच सब कुछ। आपने सभी पात्रों का विवरण भी काफ़ी अच्छे से दिया। और डायलॉगस भी गजब ही है। पढ़ते समय कभी जोरो की हँसी आ रही है, तो कभी मुस्कान 🤭 बड़ा मस्त ग्रुप है आपका। छोटी सी छोटी जगह पर भी आपने मस्ती का पूरा ध्यान रखा है। पढ़ने से ही पता लग रहा था, लिखने में बड़ा मजा आया होगा आपको 😁😁 इस कहानी के एक एक पात्र का अपना अलग ही स्वेग है 🤣🤣 कैसे आप और आपका हमराज स्कूल लाइफ से कॉलेज लाइफ में क्या क्या कांड करते हुए पहुचे 😂 उस राइडर का बड़ा होकर क्या हुआ? पवन को रिया कैसे मिली, और वो तीसरी लड़की कहीं हमारी भाभी जी तो नहीं है 🤭 रिया और पवन का क्या होगा। और उस तीसरी लड़की का भी 🤣🤣
Reply
Swati chourasia
18-Jan-2022 08:57 PM
Start to bohot hi aacha hai 👌👌
Reply
Kareem
13-Jan-2022 08:40 PM
Nice
Reply